Ummul Momineen Hazrat Ayesah (Radi ALLAH Ta'ala 'Anha) say marwi hay k ek raat RUSUL ALLAH (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALIHE WASALLAM) nain masjid main (nafal) namaz parhi to logoun nain bhi AAP (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALIHE WASALLAM) k sath namaz parhi. Phir AAP (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALIHE WASALLAM) nain Agli raat namaz parhi to aur zyada loog jama ho gaay phir teesri (3rd) ya choothi (4th) raat bhi akathy huay laykin RUSUL ALLAH (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALIHE WASALLAM) unki tashreef na na laay. Jab Subah hui to farmaya:
"Main nain Dykha jo tum nain kiya aur mujhy tumhary pas (namaz parhany k liay) aany say sirf is andyshy nain roka k yeh tum par farz kar di jaay gi."
Aur HUZUR NABI AKRAM (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALIHE WASALLAM) unhain Qayam-e-Ramzan (taraweeh) ki raghbat dilaya karty thy laykin hukman nahi farmaty thy. Chunachay (Targheeb k liay) farmaty k jo Shakhs Ramzan-ul-Mubarak main Eman aur Sawab ki niyyat say Qiyam karta hy to us k sabiqah tamam gunah bakhsh diay jaty hain. Phir RUSUL ALLAH (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALIHE WASALLAM) k wisaal mubarak tak Qiyam-e-Ramzan ki yehe sorat Barqarar rahi aur yehe sorat Khilafat e Abu Bakr (Radi ALLAH Ta'ala Anhu) aur Khilafat e Umer (Radi ALLAH Ta'ala Anhu) k awaael door tak jari rahi yahan tak k Hazrat Umer (Radi ALLAH Ta'ala Anhu) nain unhain Hazrat Ubaiy bin Ka'b (Radi ALLAH Ta'ala Anhu) ki iqtida main jama' kar diya aur wo unhain namaz (taraweeh) parhaya karty thy Lihaza yeh wo Ibtidai zamana hay jab log Namaz taraweeh k liay (Ba-Jama'at) akathy hoty thy."
HUZUR AKRAM (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALIHE WASALLAM) nain logoun ko doo (2) raatain bees (20) rakat namaz taraweeh parhai, Jab teesri (3rd) raat loog phir jama ho gaay to AAP (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALIHE WASALLAM) unki taraf (Hujra mubarak say bahir) tashreef nahi laay. Phir Subah AAP (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALIHE WASALLAM) nain farmaya:
"Mujhy Andysha hua k (Namaz e Taraweeh) tum par farz kar di jaay gi laykin tum is ki taqat na rakho gy."
Imam Faryabi nain farmaya: Is ki Sanad Qawi hay.
***************************************************************
Proof 4
Jami' Tirmidhi
امام ابو عیسیٰ ترمذی رضی اللہ عنہ نے اپنی سنن میں فرمایا: اکثر اہل علم کا مذہب بیس رکعت تراویح ہے جو کہ حضرت علی حضرت عمر رضی اﷲ عنہما اور حضور نبی اکرم صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم کے دیگر اصحاب سے مروی ہے اور یہی (کبار تابعین) سفیان ثوری، عبداللہ بن مبارک اور امام شافعی رحمہ اﷲ علیہم کا قول ہے اور امام شافعی نے فرمایا: میں نے اپنے شہر مکہ میں (اہل علم کو) بیس رکعت تراویح پڑھتے پایا۔
Imam Abu 'Isa Tirmidhi nain apni sunan main farmaya:
"Aksar Ahl-e-Ilm ka mazhab bees (20) raka'at taraweeh hay jo k Hazrat Ali aur Hazrat Umer (Radi ALLAH Ta'ala 'Anhuma) aur HUZUR AKRAM (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALIHE WASALLAM) k deegar Ashaab say marwi hay.
Aur yehe (Kabaar Tabi'en) Sufyan thawri, Abdullah Bin Mubarak aur Imam Shafi' ka qool hay.
Aur Imam Shafi' nain farmaya: main nain apny shayhar Mecca main (Ahl e Ilm ko) 20 Raka'at taraweeh parhty paya.
Reference
From : jami' Tirmidhi
Book : As Saum
Chapter : Qayam Sahr Ramadhan
Volume : 3
Page : 169
Hadith number : 806
******************************************************
Proof 5
Musannaf Ibn e Abi Shaibah
Ma'jam Al Kabeer
حضرت ابن عباس رضي اﷲ عنہما سے مروی ہے فرمایا کہ حضور نبی اکرم صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم رمضان المبارک میں وتر کے علاوہ بیس رکعت تراویح پڑھا کرتے تھے۔
Hazrat Abdullah Bin Abbas (Radi ALLAH Ta'ala 'Anhu) say marwi hay, farmaya k
"HUZUR AKRAM (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALIHE WASALLAM) Ramzan ul Mubarak main main witar k ilawa bees (20) raka'at taraweh parhaty thy."
References
From : Ibn e Abi Shaibah
Book : Al Musannaf
Volume : 2
Page : 163
Hadith number : 7692
From : Ma'jam Al Ausath Imam Tabrani
Volume : 1
Page : 243
Hadith number : 798
From : Ma'jam Al Ausath Imam tabrani
Volume : 5
Page : 324
Hadith number : 5440
From : Ma'jam Al Kabeer Imam Tabrani
Volume : 11
Page : 393
Hadith number : 12102
From : Bayhaqi in Sunan Al Kubra
Volume : 2
Page : 496
Hadith number : 4391
*********************************************************
Proof 6
Musannaf Abdur Razzaq
حضرت سائب بن یزید نے بیان کیا کہ ہم حضرت عمر رضی اللہ عنہ کے زمانہ میں فجر کے قریب تراویح سے فارغ ہوتے تھے اور ہم (بشمول وتر) تئیس رکعات پڑھتے تھے
Hazrat Saib Bin Yazeed (Radi ALLAH T'ala Anhu) nain bayan kiya k
"Hum Hazrat Umer (Radi ALLAH T'ala Anhu) k zamany main fajr k qareeb taraweeh say farigh hoty thy aur hum (witar mila kar) taees (23) rakat parhty thy."
Reference
From : Abdur Razzaq
Book : Musannaf
Chapter : Qayam ur Ramadhan
Volume : 4
Page: 261-262
Hadith number : 7733
*************************************************************************
Proof 7
Sunan Al Kubra of Imam Bayhaqi
حضرت سائب بن یزید سے مروی ہے انہوں نے بیان کیا کہ حضرت عمر بن خطاب رضی اللہ عنہ کے عہد میں صحابہ کرام رضوان اللہ اجمعین ماہ رمضان میں بیس رکعت تراویح پڑھتے تھے اور ان میں سو آیات والی سورتیں پڑھتے تھے اور حضرت عثمان رضی اللہ عنہ کے عہد میں شدت قیام کی وجہ سے وہ اپنی لاٹھیوں سے ٹیک لگاتے تھے۔
Hazrat Saeb Bin Yazeed say marwi hay unhoun nain bayan kiya k
"Hazrat Umer Bin Khattab (Radi ALLAH T'ala Anhu) k 'Ehad (door e Khilafat) main Sahaba Ikram (Radi ALLAH T'ala Anhu) maah-e-Ramzan main bees (20) rakat taraweeh parhty thy aur un main soo (100) ayaat wali soortain parhty thy aur Hazrat Uthman (Radi ALLAH T'ala Anhu) k 'Ehad (Door e Khilafat) main shiddat e Qayam ki waja say wo apni laathiyun say tayk lagaty thy."
Is Hadith ko Imam Bayhaqi, Imam Faryabi aur Ibn e ja'd nain rawayat nain kiya. Aur Imam Faryabi nain farmaya k is hadith k Rijaal thiqah hain.
References
From : Bayhaqi
Book : Sunan Al Kubra
Volume : 2
Page : 496
Hadith number : 4393
From : Ibn e Hasan Faryabi
Book : Kitab As Siym
Volume : 1
Page : 131
Hadith number : 176
From : Ibn e Ja'd
Book : Al Musnad
Volume : 1
Page : 413
Hadith number : 2825
From : MubarakFuri
Book : Thfat ul Ahwazi
Volume : 3
Page : 447
*****************************************************************
Proof 8
Sunan Al Kubra of Imam Bayhaqi
ابو خصیب نے بیان کیا کہ ہمیں حضرت سوید بن غفلہ ماہ رمضان میں نماز تراویح پانچ ترویحوں (بیس رکعت میں) پڑھاتے تھے۔
Abu khaseeb nain bayan kiya k
"Hamain Suwaid bin Ghaflah maah-e-ramzan main namaz e taraweeh paanch (5) tarweehon (bees rakaton) main parhaty thy."
Note : 4 rakat taraweeh mukammal honay par 1 tarweeh mukammal hoti hy.
Is Hadith ko Imam bayhaqi nain rawyat kiya hy aur iski Sanad Hassan hay. Aur Imam bukhari nain isy Al Kuna main rawayat main kiya hy.
References
From : Bayhqi
Book : Sunan Al Kubra
Volume : 2
Page : 446
hadith number : 4395
From : Bukhari
Book : Al Kuna
Volume : 1
Page : 28
Hadith number : 234
*******************************************************************
Proof 9
Sunan Al Kubra of Imam Bayhaqi
حضرت شُتیر بن شکل سے روایت ہے اور وہ حضرت علی رضی اللہ عنہ کے اصحاب میں سے تھے کہ حضرت علی رضی اللہ عنہ رمضان میں بیس رکعت تراویح اور تین وتر پڑھاتے تھے۔
Hazrat Shutayr bin Shakal say rawayat hay aur wo Hazrat Ali (Radi ALLAH T'ala Anhu) k Ashaab main say thy k
"Hazrat Ali (Radi ALLAH T'ala Anhu) ramzan main bees (20) rakat taraweeh aur teen (3) witar parhaty thy."
Reference
From : Bayhaqi
Book : Sunan Al Kubra
Volume : 2
Page : 496
Hadith number : 4395
***********************************************************************
Proof 10
Sunan Al Kubra of Imam Bayhaqi
حضرت ابو عبدالرحمن سلمی سے مروی ہے کہ حضرت علی رضی اللہ عنہ نے رمضان المبارک میں قاریوں کو بلایا اور ان میں سے ایک شخص کو بیس رکعت تراویح پڑھانے کا حکم دیا اور خود حضرت علی رضی اللہ عنہ انہیں وتر پڑھاتے تھے۔
یہ حدیث حضرت علی رضی اللہ عنہ سے دیگر سند سے بھی مروی ہے
Hazrat Abu Abdur Rahman As Sulami say marwi hay k
"Hazrat Ali(Radi ALLAH T'ala Anhu)nain ramzan ul Mubarak main qaariyun ko bulaya aur un main say ek shakhs ko bees (20) rakat taraweeh parhaany ka hukam diya aur khud Hazrat Ali(Radi ALLAH T'ala Anhu)nain unhain witar parhaay."
Yeh Hadith Hazrat Ali (Radi ALLAH Ta'ala Anhu) say deegar Asnad say bhi marwi hay.
References
From : Bayhaqi
Book : Sunan Al Kubra
Volume : 2
Page : 496
Hadith number : 4396
From : MubarakFuri
Book : Tuhfat ul Ahwazi Sharah Jami' Tirmidhi
Volume : 3
Page : 444
**********************************************************************
Proof 11
Musannaf Ibn e Abi Shaibah
Sunan Al Kubra of Imam Bayhaqi
حضرت ابو الحسناء بیان کرتے ہیں کہ حضرت علی رضی اللہ عنہ نے ایک شخص کو رمضان میں پانچ ترویحوں میں بیس رکعت تراویح پڑھانے کا حکم دیا۔
Hazrat Abu Al Hasana bayan karty hain k
"Hazrat Ali (Radi ALLAH Ta'ala Anhu) nain ek shakhs ko ramzan main paanch (5) tarweehon main bees (20) rakat parhaany ka hukam diya."
Is Hadith ko Imam Ibn e Abi Shaibah aur Imam Bayhaqi nain rawayat kiya hay. Aur yeh Alfaaz Imam Bayhaqi k hain.
References
From : Ibn e Abi Shaibah
Book : Al Musannaf
Chapter : Ramzan main (taraweh main) kitni rakatain jaen
Volume : 5
Page : 163
Hadith number : 7763
From : Bayhaqi
Book : Sunan Al Kubra
VOlume : 2
Page : 497
Hadith number : 4397
From : Ibn e Abul Barr
Book : At Tamheed
Volume : 8
Page : 115
From : MubarakFuri
Book : Tuhfatul Ahwazi Sharah Jami' Tirmidhi
Volume : 3
Page : 445
From : Ibn e Qudamah
Book : Al Mughana
Volume : 1
Page : 456
**********************************************************************
Proof 12
Musannaf Ibn e Abi Shaibah
حضرت یحییٰ بن سعید بیان کرتے ہیں کہ حضرت عمر بن خطاب رضی اللہ عنہ نے ایک شخص کو حکم دیا کہ وہ انہیں (مسلمانوں کو) بیس رکعت تراویح پڑھائے۔
Imam Yahya bin Sa'id bayan karty hain k
"Hazrat Umer Bin Khattab (Radi ALLAH Ta'ala Anhu) nain ek shakhs ko hukam diya k wo inhain (muslmanon ko) bees (20) rakat taraweeh parhaay."
Note : Is hadith ki sanad Mursalan Qawi hay
References
From : Ibn e Abi Shaibah
Book : Al Musannaf
Ramzan main (taraweh main) kitni rakatain jaen
Volume : 5
Page : 163
Hadith number : 7682
From : MubarakFuri
Book : Tuhfaztul Ahwazi
Volume : 3
Page : 445
**************************************************************
Proof 13
Musannaf Ibn e Abi Shaibah
حضرت نافع بن عمر نے بیان کیا کہ ابن ابی ملیکہ ہمیں رمضان المبارک میں بیس رکعت تراویح پڑھایا کرتے تھے۔
Hazrat Nafi' Bin 'Umar nain bayan kiya k
"Ibn e Abi Mulaykah hamain Ramzan-ul-Mubarak main bees (20) rakat taraweeh parhaya karty thy."
Reference
From : Ibn e Abi Shaibah
Book : Al Musannaf
Chapter : Ramzan main (taraweh main) kitni rakatain jaen
Volume : 5
Page : 163
Hadith number : 7683
********************************************************************
Proof 14
Musannaf Ibn e Abi Shaibah
حضرت عبدالعزیز بن رفیع نے بیان کیا کہ حضرت ابی بن کعب رضی اللہ عنہ مدینہ منورہ میں لوگوں کو رمضان المبارک میں بیس رکعت تراویح اور تین رکعت وتر پڑھاتے تھے۔
Hazrat Abdul Azeez bin Rafi' nain bayan kiya k
"Hazrat Abi bin Ka'b (Radi ALLAH Ta'ala 'Anhu) madeenah munawwarah main logoun ko Ramzan-ul-Mubarak main bees (20) rakat taraweeh aur teen (3) rakat witar parhaty thy."
References
From : Ibn e Abi Shaibah
Book : Al Musannaf
Chapter : Ramzan main (taraweh main) kitni rakatain jaen
Volume : 2
Page : 163
Hadith number : 7684
From : MubarakFuri
Book : Tuhfat Ul Ahwazi
Volume : 3
Page : 445
************************************************************
Proof 15
Musannaf Ibn e Abi Shaibah
حضرت حارث سے مروی ہے کہ وہ لوگوں کو رمضان المبارک کی راتوں میں (نماز تراویح) میں بیس رکعتیں اور تین وتر پڑھایا کرتے تھے اور رکوع سے پہلے دعا قنوت پڑھتے تھے۔
Hazrat Haris say marwi hay k wo logon ko Ramzan ul Mubarak ki raaton main (Namaz e Taraweeh) main bees (20) rakatain aur teen (3) witar parhaya karty thy aur Ruku' say pehly dua-e-Qunut parhty thy.
Reference
From : Ibn e Abi Shaibah
Book : Al Musannaf
Chapter : Ramzan main (taraweh main) kitni rakatain jaen
Volume : 2
Page : 163
Hadith number : 7685
*******************************************************************
Proof 16
Musannaf Ibn e Abi Shaibah
حضرت ابوالبختری سے روایت ہے کہ وہ رمضان المبارک میں پانچ ترویح (یعنی بیس رکعتیں) اور تین وتر پڑھا کرتے تھے۔
Hazrat Abi Al Bukhtariyy say rawayat hay k wo Ramzan-Ul-Mubarak main paanch (5) tarweehon (yani bees (20) rakatain) aur teen (3) witar parha karty thy.
Note : Is Hadith ki Sanad Sahi hy.
Reference
From : Ibn e Abi Shaibah
Book : Al Musannaf
Chapter : Ramzan main (taraweh main) kitni rakatain jaen
Volume : 2
Page : 163
Hadith number : 7686
*****************************************************************
Proof 17
Musannaf Ibn e Abi Shaibah
حضرت عطاء فرماتے ہیں کہ میں نے لوگوں کو دیکھا کہ وہ بشمول وتر 23 رکعت تراویح پڑھتے تھے۔
Hazrat 'Ata farmaty hain k
"Main nain logoun ko dykha k wo witar mila kar taes (23) rakat taraweeh parhty hain."
Note : Is ki Sanad Hasan hay.
Reference
From : Ibn e Abi Shaibah
Book : Al Musannaf
Chapter : Ramzan main (taraweh main) kitni rakatain jaen
Volume : 2
Page : 163
Hadith number : 7688
***********************************************************************
Proof 18
Musannaf Ibn e Abi Shaibah
حضرت سعید بن عبید سے مروی ہے کہ حضرت علی بن ربیعہ انہیں رمضان المبارک میں پانچ ترویح (یعنی بیس رکعت) نماز تراویح اور تین وتر پڑھاتے تھے۔
Hazrat Sa'id bin 'Ubaid say marwi hay k
"Hazrat 'Ali Bin Rab'iah unhain Ramzan-Ul-Mubarak main paanch tarweeh (Yani Bees rakat) namaz Taraweeh aur teen (3) witar parhaty thy."
Note : Is ki Sanad Sahi hy
Reference
From : Ibn e Abi Shaibah
Book : Al Musannaf
Chapter : Ramzan main (taraweh main) kitni rakatain jaen
Volume : 2
Page : 163
Hadith number : 7690
***********************************************************************
Proof 19
Sayyir Al A'lam An Nubala of Imam Zahabi
Talkhees Al Kabeer of Imam Ibn e Hajr 'Asqalani
حضرت حسن (بصری) رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ حضرت عمر بن خطاب رضی اللہ عنہ نے لوگوں کو حضرت ابی ابن بن کعب رضی اللہ عنہ کی اقتداء میں قیام رمضان کے لئے اکٹھا کیا تو وہ انہیں بیس رکعت تراویح پڑھاتے تھے۔
Hazrat Hasan (Basri) (Radi ALLAH Ta'ala Anhu) say marwi hay k
"Hazrat Umer Bin Khattab (Radi ALLAH Ta'ala Anhu) nain logoun ko Hazrat Ubayy bin Ka'b (Radi ALLAH Ta'ala Anhu) ki Iqtida main Qayam-e-Ramzan k liay akatha kiya to wo unhain bees (20) rakat parhaty thy."
References
From : Imam Zahabi
Book : Sayyir Al A'laam An Nubala
Volume : 1
Page : 400
From : Ibn e Hajr 'Asqalani
Book : Talkhees Al Habeer
Volume : 2
Page : 21
Hadith number : 540
From : Ibn e Qudamah
Book : Al Mughna
Volume : 1
Page : 456
From : Imam Jalal ud Din Suyuti
Book : Tanweer Al Hawalik
Volume : 1
Page : 104
From : Ibn e Taymiyyah
Book : Majmu' Al Fatawa
Volume : 2
Page : 401
*************************************************************
Proof 20
Fathul Bari Imam Ibn e Hajr 'Asqalani
حضرت زعفرانی امام شافعی رضی اللہ عنہ سے روایت کرتے ہیں کہ آپ نے فرمایا: میں نے لوگوں کو مدینہ منورہ میں انتالیس (39) اور مکہ مکرمہ میں تئیس (23) رکعت (بیس تراویح اور تین وتر) پڑھتے دیکھا۔
Hazrat Za'farani Imam Shafi' say rawayat karty hain k Ap nain farmaya:
"Main nain logoun ko madinah munawwara main untaalees (39) aur Makka Mukarramah main taes (23) rakat (bees taraweeh aur teen witar) parhty dykha."
Reference
From : Ibn e Hajr 'Asqalani
Book : Fathul Bari
Volume : 4
Page : 253
From : Shaukani
Book : Nayl Al Atwar
Volume : 3
Page : 64
*******************************************************************
Talib e Dua
Wajahat Hussain Al-Hanafi