Thursday, December 1, 2011

'Ilm e Mustafa (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM)

Hadith number 1


Hazrat Umer (Radi ALLAH TA'ALA anhu) say rawyat hy k

"HUZUR AKRAM (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM) ek rooz hamary darmayan qayaam farma huay aur AAP (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM) nain makhulaqaat ki ibtidia say lay kar jannaitiyun k jannat main daakhil ho jaany aur doozakhiyun k doozakh main Daakhil ho jaany tak hamain sab kuch bta diya. Jis nain usy yad rkham Yad rkha aur usy bhul gaya so bhul gaya."
******************************************************
Narrated by Sayyedinah 'Umar (Radi ALLAH TA'ALA anhu) that

"One day the Prophet (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM) stood up amongst us for a long period and informed us about the beginning of creation till he mentioned how the people of Paradise will enter their places and the people of Hell will enter their places. Some remembered what he had said, and some forgot it."

Reference

From : Bukhari As Saheeh (Printed in 1981 Beirut, Lebanon)
Book : Bada Al Khalq
Page : 1166
volume : 3
Hadith number : 3020

---------------------------------------------------------------------------------------
Hadith number 2


Hazrat 'Amar Bin Akhtab Ansaari (Radi ALLAH TA'ALA anhu) farmaty hain k

"HUZUR (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM) nain fajar ki namaz main hamari Imamat farmai aur mimber par jalwa afrooz huay aur hamain khitaab farmaya Yahan tak k zohar ka waqt ho gaya.
Phir AAP (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM) neechy tashreef lay aay aur Namaaz parhai. Phir us k bad Dubara mimber par tashreef farma huay aur hamain khitab farmay Yahan tak k Asar ka waqt ho gaya.
Phir mumber say neechy tashreef laay aur namaz parhai phir mumber par tashreef lay gaay yahan tak k Sooraj doob gaya.
Pas ! AAP (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM) nain hamain har us baat ki khabar daydi jo jo aj tak ho chuki thi aur jo qayamat tak honay wali thi.
Hazrat 'Amar Bin Akhtab (Radi ALLAH TA'ALA anhu) farmaty hain k hum main zyada janny wala wohi hay jo hum main say say zyada hafzay wala tha."
*************************************************
Abu Zaid (viz. Amr b. Akhtab Radi ALLAH TA'ALA anhu) reported:

Allah's Messenger (may peace be upon him) led us in the dawn prayer and then mounted the pulpit and addressed us until it was (time for the) noon prayer.
He then came down the pulpit and observed prayer and then again mounted the pulpit and again addressed us until it was time for the 'Asr prayer.
He then again came down and observed the prayer and again mointed the pulpit and addressed us until the sun was set and he informed (about) everything (pertaining to turmoil) that lay hidden in the past and what lies in (the womb) of) the future and the most learned amongst us is one who remembers them well.

From : Muslim
Book : Al Fitan
Chapter : Qayamat tak paish any waly Fitnon k bary main AAP SAW ka khabar dayna
Volume : 4
Hadith number : 2892

From : Ibn e Habban
Book : As Saheeh
Page : 9
Volume : 15
Hadith number : 6638

From : Haakim
Book : Al Mustadrak
Volume : 4
Page : 533
Hadith number : 8498

From : Abu Y'ala
Book : Al Musnad
Volume : 12
page : 237
Hadith number : 2844

From : Tabrani
Book : M'jam Al kabeer
Volume : 17
page : 46
---------------------------------------------------------------------------------------
Hadith number 3


Hazrat Huzaifah (Radi ALLAH TA'ALA anhu) farmaty hain k

"HUZUR (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM) nain mujhy qayamat tak roonuma honay wali har baat bata di aur koi aysi baat na rahi jisy main nain AAP (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM) say poocha na ho. Albatta main nain yeh na pucha k Ahl-e-Madinah ko konsi cheez madeenah say nikaly gi?"
**********************************************
Sayyedina Huzaifah (Radi ALLAH TA'ALA anhu) reported:

Allah's Messenger (may peace be upon him) informed me of what is going to happen before the approach of the Last Hour.
And there is nothing that I did not ask him in this connection except this that I did not ask him as to what would turn the people of Medina out from Medina.

From : Muslim
Book : Al Fitan wa ashraat As Sa'ahChapter
Chapter : Qayamat tak paish any waly Fitnon k bary main AAP SAW ka khabar dayna
Volume : 4
Page : 2217
Hadith number : 2891

From : Ahmad Bin Hambal
Book : Al Musnad
Volume : 5
page : 386
Hadith number : 23329

From : Haakim
Book : Al Mustadrak
Volume : 4
Page : 472
Hadith number : 8311

---------------------------------------------------------------------------------------
Hadith number 4


1. Hazrat Abdullah Bin Abbas (Radi ALLAH TA'ALA anhu) farmaty hain k
"HUZUR (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM) nain farmaya:
"Mera rab mere pas (Apni shaan k laeq) nihayat haseen sorat main aya aur farmaya:
"YA MUHAMMAD !"
main nain arz kiya :
"Mere parwardigar ! main haazir hon, bar bar hazir hon."
Farmaya : Aalam-e-Bala k farishty kis baat main jhagarty hain?
main nain arz kiya :
"Ay mere parwardigar ! main nahi janta."
Pas ! ALLAH TA'ALA nain apna dast-e-Qudrat mere dono kandhoon (shoulders) k darmayan rkha aur main nain apny seenay main uski thandak mehsoos ki.
Aur main wo sab kuch jaan gaya jo uch Mashriq-O-Maghrib k darmyan hay."

From : Tirmidhi And Abu Y'ala
Imam Tirmidhi nain farmaya:
"Yeh hadith Hassan hay."
========================================
2.

Hazrat Ma'az Bin Jabal (Radi ALLAH TA'ALA anhu) say marwi rawayat k akhir main yeh alfaaz hain.

AAP (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM) nain farmaya:
"Aur Mujh par Har cheez ki haqeeqat zaahir kar di gai jis say main nain (sab kuch) jaan liya."

From : Tirmidhi, Ahmad and Tabrani
Imam Tirmidhi nain farmaya:
"Yeh Hadeeth Hassan sahih hay."

Is Hadees k bad main Imam Tirmidhi farmaty hain k mana Is hadeeth k bary Imam Bukhari say pucha to unhoun nain farmaya k yeh Hadeeth Hassan Sahi hay."


========================================
3. Hazrat Abu Amamah (Radi ALLAH TA'ALA anhu) say marwi rawayat k akhir main yeh alfaaz hain.

AAP (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM) nain farmaya:
"Pas mujh say duniya aur akhirat k bary main kiay jaany waly sawalaat k jawabaat main nain usi muqaam par jaan liay."

From : Tabrani and Ruyani
========================================
4. Ek aur rawayat k alfaaz hain k

AAP (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM) nain farmaya:
"Aur main nain Duniya o akhirat ki har cheez ki haqeeqat jaan bhi li aur daykh bhi li."

From : Tabrani
========================================
5. Hazrat Jabir bin samrah (Radi ALLAH TA'ALA anhu) say marwi rawayat k akhir main yeh alfaaz hain.

AAP (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM) nain farmaya:
"Pas us k baad kabhi aysa nahi hua k mujh say kisi cheez k mutalliq sawal kiya gaya ho aur main usy na janta hon."

From : Ibn e Abi Shaibah and Ibn e Abi 'Asim
Yeh hadees Hassan hay aur is k Rijaal thiqah hain.
========================================
References

From : Tirmidhi
Book : Tafseer Al Quran
Chapter : Sorat Saad
Hadith number : 3233-3235

From : Darimi
Book : As Sunan
Volume : 2
Page : 170
Hadith number : 2149

From : Ahmad Bin Hambal
Book : Al Musnad
Page/volume : 368/1 , 66/4 , 243/5

From : Tabrani
Book : M'ajam Al Kabeer
page/Volume : 290/8 , 109/20 , 141/20

From : Ruyani
Book : Al Musnad
Volume : 1
page : 429
Hadith number : 656

From : Abu Y'ala
Book : Al Musnad
Volume : 4
Page : 475
Hadith number : 2608

From : Ibn e Abu Shaibah
Book : Musannaf
Volume : 6
Page : 313
Hadith number : 31706

---------------------------------------------------------------------------------------
Hadith number 5


Hazrat Anas (Radi ALLAH TA'ALA anhu) say rawayat hay k

HUZUR SAW nain hazrat zaid, hazrat J'afar aur Hazrat Abdullah Bin Rawahah (Radi ALLAH TA'ALA anhum) k mutalliqkhabar aany say pehly hi un k shaheed ho jaany k mutalliq loogun ko bata diya. Chunachy AAP SAW nain farmaya:

"Ab jhanda Zaid nain sambhala hua hy laykin wo shaheed ho gaay.
Ab J'afar nain jhanda sambhal liya hay aur wo bhi shaheed ho gaay.
Ab Ibne Rawahah nain jhanda sambhala hay aur wo bhi shaheed ho gaay."

Yeh farmaty huay AAP SAW ki chashmaan e Mubarak (eyes) Ansoun say bhari hui thin.
(Phir farmaya)
"yahan tak k ab ALLAH ki talwaaron main say ek talwaar (khalid bin waleed Radi ALLAH TA'ALA anhu) nain jhanda sambhaal liya hay aur us k haathon ALLAH TA'ALA nain kafiron par (Muslmanon ko) Fatah ata farmai hy."
***************************************************
Sayyedina Anas (Radi ALLAH TA'ALA anhu) Narrated that:

The Prophet had informed the people of the martyrdom of Zaid, Ja'far and Ibn Rawaha (Radi ALLAH TA'ALA anhum) before the news of their death reached.
The Prophet said,
"Zaid took the flag (as the commander of the army) and was martyred, then Ja'far took it and was martyred, and then Ibn Rawaha took it and was martyred."
At that time the Prophet's eyes were shedding tears.
He added, "Then the flag was taken by a Sword amongst the Swords of Allah (i.e. Khalid) and Allah made them (i.e. the Muslims) victorious."

From : Bukhari
Book : Al Maghazai
Chapter : Zameen e shaam main Ghazwa e mota
hadith number : 4014

From : Bukhari
Book : Al Janaiz
Volume : 1
page : 420
Hadith number : 1189

From : Bukhari
Book : Al Jihaad
Volume : 3
Page : 1030
Hadith number : 2645

From : Bukhari
Book : fadael e Sahaba
Chapter : Khalid bin Waleed k Manaqib
Hadith number : 3547

From : Nisai
Book : Sunan AL Kubra
Volume : 5
page : 180
Hadith number : 8604

From : Ahmad Bin Hambal
Book : Al Musnad
Volume : 1
page : 204
Hadith number : 1750

From : Haakim
Book : Al Mustadrak
Volume : 3
page : 337
Hadith number : 5295

---------------------------------------------------------------------------------------
Hadith number 6


Hazrat Jabir bin Samura (Radi ALLAH TA'ALA anhu) bayan karty hain k main nain
HUZUR AKRAM (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM) ko farmaty huay suna k AAP (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM) nain farmaya:

“Muslmaano ki ya moomino ki ek jama’at zurur Aal-e-kisra (family of Kisra) k us khazany ko fatah kary gi jo Qasr-e-Abyad (white palace) main hay.”
**********************************************
Sayyedina Jabir bin Samura (Radi ALLAH TA'ALA anhu) reported:
I heard Allah's Messenger SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM (as saying that)

“There would lie open for a group of Muslims, or for a group of believers, the treasures of the family of Kisra which would be in the white (palace).”

From : Muslim
Book : Al Fitan wa Ashraat As Sa’ah
Volume : 4
page : 2237
hadith number : 2919

From : Ahmad Bin Hambal
Book : Al Musnad
Volume : 5
Page : 89, 100
Hadith number : 20854 , 29083

From : Abu Y’ala
Book : Al Musnad
Volume : 13
Page : 441
hadith number : 7444

5 comments:

  1. MAsha ALLAH
    Subhan ALLAH bhai.............

    ReplyDelete
  2. Assalamu Alaikum

    MashaALLAH SubhanALLAH....May ALLAH increase your knowledge more and more..:)

    ReplyDelete
  3. Subhanallah ............mai mureed hun aapka is pal se.........

    ReplyDelete
  4. Borgata Hotel Casino & Spa - MapyRO
    Borgata Hotel Casino & Spa. Address: 3131 N Borgata Way, Atlantic City, 김포 출장샵 NJ 08401. 서산 출장마사지 Phone: 경상북도 출장안마 (609) 구미 출장마사지 563-7117. Location: 안성 출장안마 3131 N Borgata Way

    ReplyDelete